Friday, October 30, 2009

meri zindagi ka ek lamha aisa bhi thaa

meri zindagi ka ek lamha aisa bhi thaa
jab mai deewaron pe khwaab sajaaya karta thaa
jab mai khilono ko yaar banaa leta thaa,
jab mai masoomiyat me maar bhi khaya karta thaa,

meri zindagi ka ek lamhaa aisa bhi tha,
jab mai chidion ke sang udne ki khwaish karta tha,
jab mai ammi ki god me soya karta thaa,
jab mai papa ka hath pakad ke chalta tha,

meri zindagi me ek lamha aisa bhi tha,
jab mai dunia ko bachchon ka khel samajhta tha,
jab mai bin soche kuch bhi baatein krta tha
jab mai cycle pe girte girte sambhalta tha.

ab mai dunia ki duniadari me khoya hua hun,
kuch banne ki jimmedari me daba hua hun,
kabhi raftar thami to ye khayal banta thaa,
un lamho ke baare me dil ne kuch aisa socha tha ,ki meri zindagi ka ek lamha aisa bhi thaa
jab mai bachpan ki galion se gujra thaa...

1 comment:

Rizwana A.Mundewadi said...

tears to my eyes! great ek lamha aisa bhi tha!