Friday, October 30, 2009

kuch baatein jo dil se nikalti hain .....

meri taqdeer me us chand ki chandni na thi,
dil ki tasveer me us ki sivaa kisi ki gujarish na thi,
yun to chahaan tha unhe itna ki khuda bhi rehem kar jataa
par usko shyd meri mohabbat ki aaarzoo hi na thi
--------------------------------------------------
dil ke tukde gaalib galiyaaron me dhundta raha
dil ke tukde gaalib galiyaaron me dhundta raha
us laila ki mohabbat me majnu bana ghumta raha,
nikli jo un koochon se us haseen ki doli,
wo maykhaane ke darwaaze pe jaam pe jaam peeta raha
------------------------------------------------------------------
teri annkhon mein utar jayegi urdu,
tere hoothon pe chadh jayegi urdu
aaeeey Ghalib is urdu ko samajhne ki koshish na kar
Ishq kar khud ba khud samajh mein aayegi urdu
-----------------------------------------------------------
yun saanjh hui mujhe tera khayaal aaya,
teri zulfon ko sanwaarti hui hawaaon ka paigaam ayaa,
mujhse door rehke bhi roz milti hai tu chup chup ke,
doobte sooraj ke sath aati thi milne mujhe ye khayal aya....

meri zindagi ka ek lamha aisa bhi thaa

meri zindagi ka ek lamha aisa bhi thaa
jab mai deewaron pe khwaab sajaaya karta thaa
jab mai khilono ko yaar banaa leta thaa,
jab mai masoomiyat me maar bhi khaya karta thaa,

meri zindagi ka ek lamhaa aisa bhi tha,
jab mai chidion ke sang udne ki khwaish karta tha,
jab mai ammi ki god me soya karta thaa,
jab mai papa ka hath pakad ke chalta tha,

meri zindagi me ek lamha aisa bhi tha,
jab mai dunia ko bachchon ka khel samajhta tha,
jab mai bin soche kuch bhi baatein krta tha
jab mai cycle pe girte girte sambhalta tha.

ab mai dunia ki duniadari me khoya hua hun,
kuch banne ki jimmedari me daba hua hun,
kabhi raftar thami to ye khayal banta thaa,
un lamho ke baare me dil ne kuch aisa socha tha ,ki meri zindagi ka ek lamha aisa bhi thaa
jab mai bachpan ki galion se gujra thaa...